URDU POETRY BY RAHAT INDORI - TEHSINSF |
تیری ہر بات محبت میں گوارا کر کے
دل کے بازار میں بیٹھے ہیں خسارہ کر کے
آتے جاتے ہیں کئی رنگ مرے چہرے پر
لوگ لیتے ہیں مزا ذکر تمہارا کر کے
ایک چنگاری نظر آئی تھی بستی میں اسے
وہ الگ ہٹ گیا آندھی کو اشارہ کر کے
آسمانوں کی طرف پھینک دیا ہے میں نے
چند مٹی کے چراغوں کو ستارہ کر کے
میں وہ دریا ہوں کہ ہر بوند بھنور ہے جس کی
تم نے اچھا ہی کیا مجھ سے کنارہ کر کے
منتظر ہوں کہ ستاروں کی ذرا آنکھ لگے
چاند کو چھت پر بلا لوں گا اشارہ کر کے
English Version:
terī har baat mohabbat meñ gavārā kar ke
dil ke bāzār meñ baiThe haiñ ḳhasāra kar ke
aate jaate haiñ ka.ī rañg mire chehre par
log lete haiñ mazā zikr tumhārā kar ke
ek chiñgārī nazar aa.ī thī bastī meñ use
vo alag haT gayā āñdhī ko ishāra kar ke
āsmānoñ kī taraf pheñk diyā hai maiñ ne
chand miTTī ke charāġhoñ ko sitāra kar ke
maiñ vo dariyā huuñ ki har buuñd bhañvar hai jis kī
tum ne achchhā hī kiyā mujh se kināra kar ke
muntazir huuñ ki sitāroñ kī zarā aañkh lage
chāñd ko chhat pur bulā lūñgā ishāra kar ke
Comments
Post a Comment